Tuesday, August 24, 2010

T R P Kai Khel Mai Pista Reporter

TRP yani ki Television Rating Point Ya doosrey shabdon mai 14 inch ki screen mai pradarshit programme ko parakhney ka woh paimaana . Ye woh shabd hai jisney electronic media mai purna roop sai apney pair pasar liyea hai aaur ab har channel ban gaya hai is TRP kai khel ka khiladi aur is khel ki nirnayak hoti hai janta aaur yahanh khel ki samagri bana hai reporter .Agar hum baat karey cricket ki wahan do teams ek bat ek ball hoti hai theek usi tarj par media mai bat banta hai reporter ball banti hai khabrain jaise batsmen bat sai ball ko single double four ya six mai badalta hai theek usi tarah balla roopi reporter khabar roopi bko marker vijaybanta hai . Kaha jata hai ki media hamarey constitution ka fourth pillar hai aaur is pillar ko gaurd karta hai reporter , lekin aaj ka reporter TRP kai khel mai theek usi tarah pista hai jaise gaihun kai saath ghun agar hum reporter ki baat karain tho mehaz wahi ek insaan hai jiskey mazboot kandhon par hota hai khabar ko paish karney ka daromadar . Lekin darshak varg ko mohjaal mai bandhney kai liyea ismai lagaya jata hai masala aaur parosa jata hai janta kai samney aaur tab jo zaika aata hai woh khehlata hai TRP.Sarey maryada ko sarey ethics ko paar kartey hua ab reporter bi baar baar tv screen par aney kai liyea aul jalool khabron ko paish kartain hai kaha jata hai jungle mai nacha moor kisney daikha lekin agar ab jungle mai ek kauwey ko nachana ho tho bhi koi badi baat nahi hai pehnao kauwey ko moor ka choga aur iskey prasarit hotey hi bad jaighi TRP .Ab agar dhoni ki shaadi ka masla ho ya octopus baba ki future prediction ka har jagah TRP ka mohpaash hai . YE sirf TRP ka Crazhi hi hai ki har channel par par ek pattio chalti hui dikhai deti hai jispar likha hota hai exclusive aaur ismai aisa hota bi kuch nahi jisko exclusive kaha jai .Agar hum baat haal mai hi bani film rann ki baat karey tho uska bhi channel head aaur lead anchor Vijay Harshwardhan malik tab tak apney channel ko nahi chala pata jab tak uski TRP nahi badti aaur sachchai bhi yahi hai hamara jiwant media bhi us kaalpanik media Rann jaisa ho gaya hai jo us film mai dikhaya gaya hai . Ab mera sawal yahi hai ki aakhir kya yahi role hai media aaur guard roopi   uskey reporter ka ki mahez TRP kai liyea sari maryadaon ka ulhangan kadiya jai .Kaha bhi jata hai ki zayada chatpata aaur masaleydaar khaney sai kai bhayanak bimaariyaan ho sakti hai tho wahi baat yahan bhi lagu hoti hai ki zayada chatpata dikhakar TRP badana PUblic sai zayada media kai liyea hani karak hai kyunki issey kuch din tho faida hoga maza aaigha lekin phir hoga wahi janta ki nazroon mai khabron ki vishwasniyata ko TRP cheen legi aaur bacheghi masala lagi jhooti khabrain