kabhi footpath par kabhi coffee house k galiyaron mai resturent k kinarey mall k baher cinema hall k exit point par aksar kuch mahilaen hamey ghair leti hai jinki godh mai hota hai ek masoom jin baicharon ko ye bhi nahi pata ki ye mahilaen inhey aakhir le kar idhar udhar kyun tehal rahi hai phir woh aati hai hamarey paas aur nikalta hai unkey kanth sai ek vaakya "kuch de do babuji bachcha bhooka hai ,subah sai kuch nahi khaya hai doodh pilana hai aapney de diya to theek nahi to aap jaise saikdhon aaur hai koi to de dega , mazey ki baat ye hai ki din mai aap jitni baar bhi in jaghaon sai guzreyea aapko wahi baar baar dikhengey farq sirf ye hai ki chehrey badal jaingey kabhi bachchon ka ,kabhi mahila ka ya ye bhi ho sakta hai bachcha bhi wahi rahey aaur mahila bhi wahi "phir bhi bachcha bhooka hai " jahan ek aur hum vikas ki daud mai hissa le rahey hai apney ko viksit kheh rahey hai jahan hamarey godamon mai na janey kitney crore ka anaaj sadh raha hai hum common wealth game mai wealth ko common roopm sai andar kar rahey hai jahan elections mai har neta ka yahi bhashan hota hai ki gareebon ko do june ki roti milegi to aakhir karan kya hai ye bhi bhookey inka bachcha bhi bhooka lagta hai bhook wahi hai parantu arth badal gaye hai kisi ko aaur paney ki bhook hai kisi kojo hai uskey na janey ki bhook hai kisi ko ruppee ki bhook hai kisi ko paise ki kahi aaroop ki bhook hai kahi pratyaroop ki kahi bhook logon ko virodh pradarshan kar lathi khaney par majboor kar rahi hai to kahi satta k galiyaron mai paith jamaney ki bhook anththa bhook wahi hai swaroop alag hai lekin hum agar doosrey nazariyea sai daikhain tho in mahilayon aaur inkey muh boley bachchon ki bhook sachchi hai inki bhook ki thali mai milawat tho hai par utni nahi jitni hamey aaur aapko parosi gai thali mai hai hamari thali mai poori bhi raheghi paratha bhi aaloo bhi hoga hogi paneer bhi aaur wahi kabhi hum chicken aaur mutton sai apni thali ki sobha badatey hai hamari thali mai arhar ki daal hamarey aarthik roop sai mazboot honey ka parichey deti hai lekin in baicharey gareebon ki thali "hai ram" kabhi usmai hota tha sarsoon ya chaulai ka saag ,aam ka achar pyaaz ki gathiya aaur roti lekin is mehangai aaur milawat k daur mai ye sirf ek suhana sapna hai jo ab shayad hi kabhi sakaar ho pai jahan desh mai ek aur lakhtakiya car ban rahi hai roz hitech mobile ban rahey hai jahan shirdi rameshwaram ashtivinayak haji ali ki dargah mai arabon ruppee ka sona chandi chad raha hai to koi kyun nahi kuch kar raha hai in gareebon k liyea aakhir kab shant hogi in bachchon ki bhook kya kabhi woh din aa paigha jab mahila ye na kahey ki bachcha bhooka hai balki ye kahey ki bachchey k saath saath aaj mera bhi pait bhar gaya hai yadi aaisa nahi ho paya tho hamey ye kahney ka haq bilkul nahi hai ki hum viksit hai ya vikas ki daud mai daud laga rahey hai ab ye tho hamarey uper hai ki hum kitni gehraee tak is samvedansheel muddey par sonchtey hai kahan tak is samasya k samadhan k liyea kadam uthatey hai warna hoga wahi ki hum guzrengey chaurahey sai awaaz bhi hogi wahi sawal bhi hoga wahi
"KUCH DE DO BABUJI BACHCHA BHOOKA HAI
