"Be-basi issey badi aaur bhala kya hogi.
Baat roney ki hai aaur mujko hansi aati hai"
(Meer Taqi Meer)
Waqt aa gaya hai ki aaj hindustan ki awaam jispai watan k liyea wafadari farz wajib hai woh ye teh karey ki woh apni khusi k liyea aaur apni muskurahat k liyea watan k un azeem sakhsiyaton ki qurbaniyon ko bhoolkar aanson bahaney k bajaey entertainment ka zariya banana chahti hai .Agar kisi sai poocha jai tho watan ka har wafadaar shakhs jisney ganga ka paani piya ho, mathura ki mitti mali ho , kashmir ki khusboo ko mehsoos kiya ho, himalaya ki chamak dekhi ho woh yahi kahega nahi nahi watan k shaheedon ki sahadat ko hum nahi bhula saktey unka khoon tho hamari ragon mai daud raha hai to mai unsai poochna chahta hun ki zabaan sai wafadaari ka dawa karna aasaan hai magar saachi muhabbat ka imtehaan tabhi hota hai jab waqt padta hai lo aaj waqt aa gaya hind ki azaadi mai apni jaan ki parwah na kartey, hue firangiyon ki neend ko udatey hue, hind ki fatah ka parcham lehratey hue, dushmanon ko kuchaltey hue, shaheed honey waley "Neta Ji" Haan Haan sahi pehchaana aapne wahi Subash Chandra Bose jiski zabaan sai nikla hua -zalzala zan- naara "Tum Mujhey Khoon Do Mai Tumhey Azaadi Dunga " jab hindostaan ki fizaon mai gunjha tho firangiyon k faqtey ud gaye, raaton ki neend chali gai, dil ka chain lut gaya, kyunki Neta JI nai ye naara apni zabaan sai lagaya zaroor lekin mera dil khehta hai ki zabaan Neta ji ki thi magar awaaz Madar e hind (bharat mata ) ki thi .Magar kya maloom tha ki aaney waley 21 wi sadi k azaad hindustan mai rehney wala har shakhs itna dhukhi ho jaiga ki usko jab husney k liyea koi rasta nahi milega tho woh hindostaa ko azaad karaney waley apney purkhon ki shahadat par aansun bahaney aur afsoos karney k bajaey unki kahi hui baaton ko mazak aaur tafreeh ka ek aakhri rasta samaj lega . Mana ki kuch sawaal hamari zindagi ko khushnumah bana saktey hai magar ye kehna kahan ka insaaf hai ki is azeem shakhsiyat(Neta Ji) k azeem jumloon ko hum is tarah paish karain jis tarah issey Kyon Banega Crorepati 4 k Promo mai dikhaya gaya hai mana ki hindustan tarakki kar raha hai din dugni raat chauguni bulandiyon ko chuh raha hai lekin is tarah kahi na kahi hum apney ateet k saath khilwaad kar rahey hai kya bhuley sai bhi kabhi ye khayal Amitabh Bachchan K dil mai aaya hoga ya us production house k man mai aaya ho ki issey hindustan k logon k dil mai kitni takleef hogi banaya usko hai Leo burnett nai paish kiya hai Amitabh nai lekin kya paish kartey waqt unki ruh mai ek baar bhi sirhan na hui hogi . Ab hum baat kartey hai is wahiyaat promo kiye TVC shuru hota hai tab jab ek school ka ustaad apney shagird sai poochta hai ki Raju batao ki Tum Mujhey Khoon Do Mai Tumhey Azaadi Dunga Ye Jumley kiskey hai Tho jawab mai Raju Saheb fatmatey hai ki Sir abhi aap hi nai tho kaha tha aaur jaisey jaisey woh Ladka raju bada hota hai kai baar usko isi sawaal sai do chaar hona padta hai aaur tab bhi ye mahez usko mazak mai leta hai jab uska apna hi ladka ussey ye sawal poochta hai aaur is sawal ki ahemiyat usko tab pata lagti hai jab woh kyon banega crorepati mai jata hai aaur yahi sawal Show k Host Amitabh bachchan ussey poochtai hai Aur ye TVC ye khehtai hue khatam hota hai Mai pehle si hi keh raaha hoon deviyo aur Sajno Koi bhi sawaal chhota nahi hota.. Ab hindustaan ki awaam ye teh kareghi ki koi bhi galti choti nahi hoti .
aaur isi k saath mai apni baat ko khatam karety hua khehna chaunga ki
"Aag Paisey Ki Lagi Hai Jo Bujhaya Jai
Pyaar ka Deep Har ek Dil Mai Jalaya Jai
Aman aaur chain k is sheeshmahal ko logon
Aao Pathar Ki Nigahon Sai Bachaya Jai"
har ek lafz apni apni jagah ek ek kitab barabr ka wazn liye huye hai, kahi pholo ki mahek, kahi suraj si chamak, kahi koyel kki saz kahi sher ki awaz sab ek sath hai aap ke in topic me
ReplyDeleteThis is the hilarious article........tum sochte ho ki us add mein NETA JI ki koi burai ki gayi hai ya unke bare mein kch galat kaha gaya hai toh tum bilkul galat sochte hoo aisa bilkul nahi hai.........yeh add unke liye hai jo hundustani hone ka dawa karte hai aur kehte hai ki mujhko garv hai ki main ek hindusatani hoo aur unko yeh nahi pata ki yeh NARA kisne diya tha yeh add unke liye hai un per ungli uttayi gayi hai naki NETA JI ke uppar ya unke NARE ke upper......tumne kch likha yeh mujhko accha laga lekin tumne yeh likha yeh mujhko sahi nahi laga tumne likha hai na ki hindustaan bahut tarakki kar raha hai mujhko nahi lagta hai ki hidustaan tarakki kar raha hai agar hidustaan ki awaam ki soch aisi hai toh hindustaan aaj bhi wahi hai jahaan 50 saal pehle tha.............tarraki karne ke liye doosro ke kaam mein kamiya nahi nikalte hai balki apne kaam ko aur behtar tareeke se karne ki kosish karte hai tabhi insaan tarakki karta hai aur jab insaan tarakki karta hai tab ek shaher tarakki karta hai jab ek shaher tarakki karta hai tab ek mulk tarakki karta..........hindustaan ki awaam ko apni soch ko aur behtar banana hoga............agar meri baat se tumhare dil ko koi choth pahuchi hoo toh uske liye mafi chahat hoo mera irada kisi ko bhi choth pahuchane ka nahi hai yeh mera nazariya hai...............that's all........
ReplyDeleteAaj kal k Mahaul k Hisab se bilkul Perfect hai....
ReplyDeleteagain u cme out wid a serious article..bt thz time i agree wid u to sum xtent.. bt it ws nice readin ur perpective!!!! keep writin n would love to read sum positive aspects of our country too :)
ReplyDeleteApni jadon ko bhool kar doosro ki raah pe chalne waale logon ko ye nahi bhoolna chahiye ki hamari jado ko mazboot karne ke liye hazaro sarfarosho ne apne lahu ki qurbani di thi,jinka maqsad apni trp badhana ya apne ko mashhoor karna nahi tha.....
ReplyDeleteAaj jab ki ham Western Culture aur Western samaj main dhalne ki bharpoor koshish main lage huye hain uski ek bahut badi wajah ye hai ki ....."JO CHEEZ INSAAN KO AASAANI SE MIL JAATI HAI USKI QADR USKI NAZAR MAIN KHATAM HO JAATI HAI..."
Agar aaj hame apne shaheedon ke lahu ka mazaak udane main koi sharam mahsoos nahi ho rahi to uski main wajah yahi hai ki hame aazaadi ki qeemat nahi pata....Bas ek baar agar azadi cheen le jaye to sab ko samjh main aayega ki Azadi kya hoti hai....